Posts

Showing posts from November, 2017

Zindagi inke bina Mumkin Nahi - (MAA)

Image
Meri kashti thi samundra par usne mujhe nikalna sikhaya, kyuki Bachpan se lekar aajtak usne mujhe chalna sikhaya, Mere liye wo tufan se ladi, Me unke aanchal me chupta raha, Me jab bhi ro pada to usne mere sare gum ko mitaya.  Ha  Mene jannat ko dekha jo uske kadmo me samaya. Mere liye wo aayina bani jisne mujhe sundar banaya, jisne Apni pyari si baaton se muje har thokar se bachaya, Ae farishte sun le tu bhi, zameen-o-asmaan bhi sokh banaya, Maa ki ek anshu jab sare dil ko lubhaya, Ha Mene jannat ko dekha jo uske kadmo me samaya. Bachman me khud gile me sokar mujhko sukhe me sulaya, maathe par lab-e-muhabbat dekar mujhe har dard se bachaya, Ae andhera tu bhi kala ho gya, Maa ne ankhen kholi ghar me ujala ho gya. Me janta hun Mera haal muskil aasan bana, Jab jab maa ne dua ke liye hath uthaya. ha Ha Mene jannat ko dekha jo uske kadmo me samaya.